Monday, November 28, 2011

"Chaahat"

Khaamosh hai nighae, par inme sawal kaie,
Milte hai jawab, par sab mein hain kuch kami,
Hooth hai seele, par ye aankhen band to nahi,
Aaj hai andhera, par badlega din hai iska yakin...

Sunta hu har saware samne ki imaraat mein bajti ghanti,
Daurte mere dost, ki do minute ki deri kahin na par jae mhengi,
"Jai Hind" ka naara ek sawar mein thik 8 bjae,
Deta hu salami main bhi, par dur se khade kahin!!!

Fir chaah jati hai shanti hawa mein,
Takta hu gari mein kab 12 baje??
Nipta deta hu apna kaam sara,
Khandhe pe taange gamjha aur chaie ki pyali paroste,
Bajti hai tabhi ghnati aur daurte mere saathi,
Khusi unki bikherti, muskurahat mere chehre pe bhi....

Ghanti wahi hai par kushi ka karan ek nahi...
Khulti unki baeriyaan, takta unhe sochu kab mere pairo pade??
Poochta hu bas ek sawal kudh se,
Kab main bhi basta taange dekhu, kya hai us deewar ke pare...
Kar raha hu intzaar us din ka, jab main bhi school jau,
"sun chotu" nahi, apne naam "Vigyaan" se pukara jau!!!


No comments:

Post a Comment