Monday, November 28, 2011

"Chaahat"

Khaamosh hai nighae, par inme sawal kaie,
Milte hai jawab, par sab mein hain kuch kami,
Hooth hai seele, par ye aankhen band to nahi,
Aaj hai andhera, par badlega din hai iska yakin...

Sunta hu har saware samne ki imaraat mein bajti ghanti,
Daurte mere dost, ki do minute ki deri kahin na par jae mhengi,
"Jai Hind" ka naara ek sawar mein thik 8 bjae,
Deta hu salami main bhi, par dur se khade kahin!!!

Fir chaah jati hai shanti hawa mein,
Takta hu gari mein kab 12 baje??
Nipta deta hu apna kaam sara,
Khandhe pe taange gamjha aur chaie ki pyali paroste,
Bajti hai tabhi ghnati aur daurte mere saathi,
Khusi unki bikherti, muskurahat mere chehre pe bhi....

Ghanti wahi hai par kushi ka karan ek nahi...
Khulti unki baeriyaan, takta unhe sochu kab mere pairo pade??
Poochta hu bas ek sawal kudh se,
Kab main bhi basta taange dekhu, kya hai us deewar ke pare...
Kar raha hu intzaar us din ka, jab main bhi school jau,
"sun chotu" nahi, apne naam "Vigyaan" se pukara jau!!!


Baarish Ki Ye Boonde......

Baarish ki in girti boondo ne,
Haule se choote mere maan ko,
Beete yaadon ne fir bhingo diya,
Bachpan se ab tak ke khubsoorat lamho ko....

Jab thi simti duniya dosto mein,
Unke saath khelte wish-amrit aur gunjate thaako mein.
Jaan bujh ke chatri ghar chor jana ,
Baarish mein bhingte dosto sang fir school s aana :)
Wo kagaj ki khasti tairana,
Ghar k aangan mein chap-chap kar pani ke cheete urana!!!!

Yaadein wo bachpan ki, jurti aaj ke daaman se,
Dosto ka hath chor, bante rishte kisi ajij se!!!
Barish wahi hai, par hansi nayi ,
Hooton pe muskurahat hai, par wo thake nahi.
Bachapan ka alhar-paan badalti naie adaaon me,
Badhte kadam humsafar ke sang, ab ek hi chatri ke chaoon me!!!

Badal jate hai hum badalti rahoon pe,
Ban jati hai yaadein, jo hain aaj humari baaton mein...
Nahi badalti to ye barish ki boonde,
Jorti humare aaj ko kal ke jiye jajbaaton se!!!!!!

Monday, November 7, 2011

Jee Ley Apne Sapno Ko............

Jo ho aankhen band, sapne usme kub saare ho,
Khule to jaise aasman mein dhero sitare ho...
Maana dur hain tumse taare sabhi,
Par ban na paae un tak ki raa, zindagi teri itni majbur bhi to nahi!!!!

Kyun goot-ta hai aaj ki in bandisho me yun sisk ke,
Paya kya hai jo rekta hai dar sab khone ka is seene me????
Kabhi khuli hawa mein apne sapno ko pankh laga k to dekh,
Pairo mein pari in janjiro ko hata, apne armaano ko ek baar saanse to de.

Duniya pe kiya hai ab tak itna bharosa,
Aaj kud apne pe wiswaas jata le,
Badha le kadam kudh ke chune raaho pe,
Apne sapno ko aaj tu apne haatho se saja de!!!!!!!!!!!!